Thursday, August 18, 2011

Rocking song with my touch......

Purani tie aur kitab..
class ki last bench aur mere yaar..
wo sirf break mein jaagna
aur so jaana in physics class..
wo coke peena canteen mein jaake
wo karna baatein in almost all d' class
bas yaadein yaadein yaadein reh jaati hain..
kuch choti choti baatein reh jaati hain .....
bas yaadein.....
pahunchna skool main hamesha late....
wo kehna mam ka"Ishtanding out of the class"
wo andar se doston ka kehna
"hame bhi bahar bula le yaar"
wo jaake comp. class mein gappein ladana...
wo karna bunk
assembly ko yaar......
papa ka daantna.....
wo kehna mummy ka "maaro bhi yaar..."
"mujhe to sirf nazar aata hai ...
jahan mein beta mera hi bekar..."
wo dil mein sochna kar ke kuch dikha dein
wo karna planning roz nayi yaar
cycle test ke kabadi marks.....
wo likhna sheets par akshar do chaar.....
wo paana tohfe mein teacher ki gaaliya.......

bas yaadein yaadein yaadein reh jaati hain....
kuch choti choti baatein reh jaati hain .....
bas yaadein reh jati hai !

No comments: