Wednesday, May 16, 2012

Wo Dekho Ek Software engineer Jaa raha hai....

Hello Friends....

Kisi frustrated software engineer ke dimag se nikle hue .....or har ek software engineer ke dilo  ko chu jane wale ......labz .....aapke samne rakhne ja raha hu..... Enjoy the game of words..... :p



WO DEKHO EK SOFTWARE ENGINEER JAA RAHA HAI

Apne project ke bojh tale daba jaa raha hai,

Wo dekho ek software engineer ja raha hai.

Zindagi se hara hua hai,

Par Bugs se haar nahi manta.

Apne application ki ek ek line ise rati hui hai,

Par aaj kaun se rang ke moje pehne hain,

ye nahi janta. Din par din ek excel file banata ja raha hai,

Wo dekho ek software engineer ja raha hai.

Das hazaar line ke code main error dhoond lete hain lekin,

Majboor dost ki ankhon ki nami dikhayi nahi deti.

Pc pe hazaar windows khuli hain,

 Par dil ki khidki pe koi dastak sunayi nahi deti.

Week days ko nahata nahi, satuday-sunday ko naha raha hai,

Wo dekho ek software engineer ja raha hai.

 Coding karte karte pata hi nahi chala,

 Bugs ki priority kab maan-baap se high ho gayi.

 Kitabon me gulab rakhne wala ,

cigerette ke dhuyen main kho gaya,

 Dil ki zameen se armaanon ki vidayi ho gayi.

Weekends pe daroo peke jo jashna mana raha hai,

Wo dekho ek software engineer ja raha hai.

Maze lena ho iske to pooch lo,

Salary Increment ki party kab dila rahe ho.

Hansi udana ho to pooch lo,

Onsite kab ja rahe ho?

Wo dekho onsite se laute team-mate ki chocolates kha raha hai,

Wo dekho ek software engineer ja raha hai.

Kharche badh rahe hain,

Baal kam ho rahe hain.

Savings hoti nahi,

Income Tax ke sitam ho rahe hain.

 Lo phir se bus choot gayi,

auto se office aa raha hai,

 Wo dekho ek software engineer ja raha hai.

Pizza gale se nahi utarta,

To Coke ke sahare nigal liya jata hai.

 Office ki "Thali" dekh munh hai bigadta,

 Maa ke hath ka wo khana baar roz yaad ata hai.

 "Sprout bhel" bani hai phir bhi,

free "Evening Snacks" kha raha hai,

Wo dekho ek software engineer ja raha hai.

Aapne ab tak li hongi bahut si chutikiya,

 Software engineer ke jivan ka sach batati ye akhri kuch panktiyan.

 Hazaron ki tankhwah wala, company ki karodon ki jeb bharta hai,

Software engineer wahi ban sakta hai,

jo lohe ka jigar rakhta hai.

 Hum log jee jee ke marte hain,

zindagi hai kuch aisi, Ek fauj ki naukri,

doosri software engineer ki,

dono ek jaisi. Is kavita ka har shabd mere dil ki gehrayi se aa raha hai,

Wo dekho ek software engineer ja raha hai...

1 comment:

Anonymous said...

શું વાત છે! ભાઈ ભાઈ